Yun Hi Hota Hai Ke Aksar Wahi Ho Jata Hai
Dil Jise Hone Ki Sochke Ghabraata Hai
Na Aae Yaad Wo Yahi Ek Wazah Hai Peene Ki
Bekhudi Mai Bhi Magar Yaad Wahi Aata Hai
Dil To Kahta Hai Tera Naam Na Lunga Mai Kabhi
Dil Hi Kambkht Tere Naam Ko Dohraata Hai
Mere Ghar Ki Daro Diwaar Mai Hai Tu Hi Sanam
Jis Taraf Dekhun Mujhe Tu Hi Nazar Aata Hai
Jab Bhi Karta Hun Mai Touba Ke Na Peeyunga Kabhi
Naamurad Koi Tere Bare Mai Bata Jaata Hai
Mera Dil Bhi Kabhi Tha Taza Gulaabo Ki Tarah
Wuqt Ke Sath Pur Hur Phool Murjha Jaata Hai
Tera Khayal Chhod Jata Hai Hoto Pe Hasi
Tera Ahasas Hi Fir Mujhko Rula Jaata Hai
Ye Bediyon Ki Tarah Kasti Hui Tanhai
E Khuda Tu Hi Bata Kya Yun Bhi Jiya Jata Hai
Tere Aane Ki Sabhi Rah Ho Chuki Gumsum
Jo Ek Charag-E-Aarjoo Tha Bhujha Jaata Hai
Wuqt Ne Chot Jo De Thi Abhi Taza Hai Anish
Hum To Sunte The Ki Marhum Bhi Laga Jaata Hai