Yoon To Wakib Hoon Mai Uske Har Dard Se
Hairaan Hoon Wo, Itna Keise Muskurati Hai,
Hamne To Chand Zakhmon Se Aasmaan
Sar Pe Uthaa Rakkha Hai,
Jaane Wo Maasoom In Naasuron Se
Kaise Lad Paati Hai,
Aasmaan Sar Par Nahi Uske
Or Jameen Shayad Hi Mil Paati Hai,
Ladkpan Abhi Gaya Nahi Uska Abtak
Par Wo Bachchon Si Kahaan Nazar Aati Hai,
Kabhi Paani To Kabhi Raashan Ki Kataaron Me
Wo Aksar Mol-Bhav Karti Nazar Aa Jaati Hai,
Mai Aksar Kehta Hoon Use Theherne Ko
Kuchh Waqt Nikaalo ‘Us.Se’ Shikayat Karne Ko,
Ye Kehkar Ke Mam.Mi Aaj Phir Der Se Aaegi
Choti Behen Phir Bhookhi Hi So Jaaegi,
Us.Se Ye Jhagda Phir Nipta Leinge
Subeh School Bhi To Jaana Hai
Rahul Ko Homewok Bhi Karwana Hai,
Ye Kehkar Wo Muskuraakar Nikal Jaati Hai
Ye Aankhein Chaand Hokar Bhi Nam Hai
Or Wo Kali Kaanton Me Rehkar Bhi
Na Jaane Kaise Muskuraati Hai.