Ye Chehra Itna Sundar Kyon Nahi-Â…
Mai Kyon, Isi Baat Me Aksar Atak Jata Hoon
Kyon Jaroorat Padti Hai Mujhe Aaine Ki
Mai Kyon Un Nigaahon Ko Khatak Jaata Hoon,

Kyon Bandhti Hai Ye Kambakht Ummeedien Or
Mai Kyon In Ummeedon Se Ummeedein Lagata Hoon,
Kyon Dushit Ho Jaata Hoon Mai Tumhari Gandgi Se
Mai Nirmal Nadi Kyon Nahi Ban Paata Hoon,
Kyon Duhaai Deta Hoon In Rishton Ki
Kyon Har Waqt Tumhe Baandhna Chaahta Hoon,
Meri Khushbuein Bhi Hain Bikhar Jaane Ko
Phir Kyon Mai Bhi Phool Nahi Ban Paata Hoon,
Ye Man Itna Vichlit Kyon Hai Jabki
Geeta Ka Saar Har Roj Dohrata Hoon,
Kyon Mai Apne Karmon Ke Hisaab Ko
Har Ek Ko Ginwaana Chaahta Hoon,
Ey Maalik Kuchh Sabr Or Ek
Halki Si Muskuraahat De Is Chehre Ko,
Ek Sheetal Sa Chaand Bana De Mujhko-Â…ke Ab