Yaadein Jo Khoyi Khoyi Aati Hain
To Raatein Bhee Soyee Soyee Aati Hain
Shaam Ki Izzazat Lekar Chaand Kyaa Nikla
Ye Hawayein Bhee Sharab Mein Bhigoyee Si Aati Hain
Arey Sab Ashiqo Ke Bahaane Hain
Kyaa Kabhi Hawa Se Bhee Madhosi Chhati Hain
Dosh Dete Hai Kabhi Saaki Kabhi Chaand Ko
Asal Mein To Unko Chaand Mein Mehbub Ki Aankhe Najar Aati Hain
Aaye Jo Aankhen Chaand Mein Nazar
To Hawa Mein Uske Jism Ki Khushbu Aati Hain
Mausam Hi Jo Paimana Ban Gaya Ho
To Bolo Isme Meri Kyaa Gustaakhi Hain
Itni Siddat Hai To Kehte Kyu Nahi
Kyu Uski Hasi Mein Teri Aah Gum Jaati Hain
Lagta Hai Unki Aankho Ki Nami Ne Mere Yaar Ke Hausle Gum Gaye
Varna To Uski Aankho Mein Zamaane Ki Aag Najar Aati Hain
Beech Safar Karta Hun Baarishein Rukne Ka Intezaar
Aur Apni Naiyya Beech Banwar Mein Dub Jaati Hain
Iss Dubte Ko Shahare Mein Kashti Do, Tinke Nahi
Aisi Kashti Jo Iss Aag Ke Dariya Ke Paar Jaati Hain