Woh Sunkar Hoor Ki Taarif Pardese Nikal Aaye
Kaha Phir Muskurakar Husn-E-Zeba Isko Kehte Hain
Ajal Ka Naam Dushman Doosre Maani Mein Leta Hai
Tumhare Chahne Wale Tamanna Isko Kehte Hain
Mere Mudfan Pe Q Rote Ho Aashiq Mar Nahi Sakta
Yeh Mar Jaana Nahin Sabr Aana Isko Kehte Hain
Namak Bhar Kar Mere Zakhmo Pe Tum Kya Muskuraate Ho
Mere Zakhmo Ko Dekho Muskuraana Isko Kehte Hain
Zamane Ki Adavat Ka Sabab Thi Dosti Jinki
Ab Inko Dushmani Hai Duniya Isko Kehte Hain