Woh Shaksiyat Us Shaks Ki Azeem Hoti Hai,
Jo Kuch Likhjata Ho Aur Baat Kuch Kahi Hoti Hai,
Bohot Hogaya Aj Is Kadar Aise Jeena,
Main Kuch Na Bhi Kahu To Baat Kuch Aur Hoti Hai,
Ilzaam To Saare Hame Ne Jhele The Apne Sar,
Jab Wafa Mangi Kisi Se Is Badle Ki To Paas Tanhayi Hoti Hai,
Main Toh Jaanta Bhi Nahi Woh Shaks Kyun Mujhe Jhod Gaya,
Gum Nazar Nahi Aate Par Aankhen Nam Hoti Hai,
Tanhayion Ki Raah Par Is Falsafe Ko Bhi Samjha Maine,
Jis Cheez Ki Talab Khuda Se Zyada Karo Wahi Tumse Door Hoti Hai,
Nahi Koi Manzilein Bachi Ab Is Safar Mein Meri,
Aise Safar Karte Kahan Kiski Hasrate Poori Hoti Hai,
Gam Ko Main Sahi Ab To Likh Bhi Nahi Pata,
Koshish Karta Hun Main Jitni Utni Hi Naakam Hoti Hai,
Ab To Is Bazm Ko Bhi Khatm Kar Dete Hai,
Insaan Hamare Beech Ho Na Ho Par Uski Yaadein Saath Hoti Hai.