Woh Nigahe Mastana, Teri Ankhomein Dekhta Hoon
Teri Ankhomein Zankna Jaise Mujhe Munasib Nahin
Pata Nahin Lagta Hain Shayad Main Doob Jaonga
Aur, Fir Bahte Huein Teri Hoton Tak Pahunchunga
Log Samjhenge Yeh Teri Pyas Hain,
Main Kahoonga, Yeh Darpan Hain -Â…
Jaha Kabhi Main Hoon To Kabhi Koi Aur Hain
Jaan Aur Jism Jaise Pighal Chuke Hain,
Shayad Lagta Hain Koi Shama Roshan Hain Aur Subah Honewali Hain
Aisa Lagta Hain Ke Bus Ise Tarah Teri Wadiyon Mein Zoolta Rahoon
Teri Khushboonke Zokomein Zoomta Rahoon-Â…
Par, Garden Tedi Karta Hoon To Age Chameli Khadi Hain Aur Bajumein Jasmine,
Thodi Door Par Koi Peela Ya Neela To Koi Laal To Koi Gulabi Fool Khil Raha Hain-Â…
Jaise Dhundlate Huein Dekh Raha Hoon, Sare Khilte Huen Murzha Rahe Hain-Â….
Ayeena Bhi Dekh Liya To Chehra To Saaf Hain Par Koi Surkhiya Bhi Nahin
Dar To Hameshase Hain Murzha Jaane Ka Pata Nahin Kab Aur Kaise
Par Tuzhe Jeete Jeete Jaise Kisi Maybaazar Mein Kho Chukka Hoon-Â….
Maikashi Pila Rahe Hain, Har Mod Par Unkebhi Andaaz Alag Alag Hain
Yeh Nazare Kabtak Rahenge,
Kabtak Gardish Mein Sitare Chamakte Rahenge
Kise Pata Hain, Na Muzhe Na Tuzhe,
Jeeta Hoon Tuzhe Bahakte Huein,
Sambhalta Hoon Aksar Yaha Dost,
Kise Pata Hain, Na Muzhe Na Tuzhe