Woh Ik Muskurahat
Ko Dekhh Kar Jiss Ko
Iss Zindagi Pay Bhi Piyaar Aaya
Jaanay Kaisa Nasha Tha Uss Mein
Ki Bin Piyay Hi
Badan Say Rooh Tak Khumaar Chhaya
Aur Thandak Aisi K Baad Muddat
Meri Wehshaton Ko Qarar Aaya
Woh Muskurai To Ek Pal Ko
Buss Ek Pal Ko Laga K Jaisay Koi Musafir
Thakan Safar Ki Utaar Aaya
Hijar Ka Maousam Guzar Gaya Aur
Wasal Ki Rut Pay Nikhhar Aaya
Ussay Khabar Kia Koi Deewana
Uss Ek Chhotay Say Pal K Badlay
Dil Uss K Qadmon Mein Haar Aaya