Woh Chahti Hai Uski Bewafai Ke Saye Mein
Main Pyar Dhundta Rahun
Zindagi Ke Jam Mein Main Maut Ka Zeher Peeta Rahu
Dokha To Usne Mujhe Diya Main To
Abhi Tak Imandari Ki Chatan Pe Khada Hoon
Woh Chahti Hai Ke Bana Dun Is Chatan Ko
Ek Shatranj Ki Bisad Aur Meri Beiman Zindagi Ki Tarha Iske Saath Khelta Rahu
Ab Hargaya Hoon Main Inn Pyar Ke Bewaffa Sodagaron Se
Ae Rabb Mujhe Bata Ke Mere Dafan Dil Ke Saath Main Kaise Hasta Rahun
Rogayi Hai Meri Behchan Si Lawaris Rooh
Aise Halat Main Yeh Hi Thik Hai Ke Main Khud Ke Ander Hi Marta Rahun
Haske Kaise Pilun Main Dard Mitane Wali Sharab Ko
Gunahon Ka Boj Hai Mujpe Isiliye
Yeh Sawab Hoga Ke Main Dard Ke Saath Hi Jeeta Rahun
Na Dara Hoon Na Darunga Kaanton Bhare
Yeh Pyar Ke Raaston Se
Abhi Jana Hai Mujko Zindagi Ka Hisab Dene
Isiliye Acha Hai Ke Main Inhi Raaston Par Chalta Rahun
Ghirte Hue Dil Ke Tudkon Ki Aagosh Main‚  Main Aaj Dhaka Hua Hoon
Uss Bewaffa Se Pyar Kia Toh Saza Hai
Mere Liye Ke Apna Hi Khoon Har Roz Ahista Ahista Chakta Rahun
Choop Gaya Hoon Main Khud Ki Hi Napak Parchai Ke Peeche
Manga Hai Usne Mujse Ke Main Isi Mohobbat Ki Aag Mein Jalta Rahun