Wo To Aaye The Dekhne Humko;
Hum Hi Bus Thode Badnaseeb Rahe.
Jis Or Se Dekha Mere Mashook Ne Mujhe;
Dekha Hai Usi Oar Se Aaine Main Khudko.
Mujhko Maloom Hai Ke Bewafa Hai Tu Phir Bhi;
Tujhe Bhool Jaoon Ye Kabhi Mujhse Nahi Hota.
Uf Ye Pasha -E- Julf Ye Kham -E- Gesu;
Kyun Is Uljhan Se Dil Ulajhta Hai.
Leker Mushibaton Ko Khuda Pareshan Tha;
Jab Kuchh Na Ban Saka Meri Taqdeer Bana Di.
Kitni Haseen Hai Dekho Jalim Ki Beimani;
Us Oar Berukhi Hai Is Oar Meherbani.
Her Roj Ek Jakhm Yahan See Rahe Hain Log;
Seene Pe Rakhke Patther Yahan Jee Rahe Hain Log.
Shard Jhokon Se Teri Yaad Is Tarah Aai;
Ye Hawa Jaise Tera Aanchal Odhker Aai.
Wo Bhale Jo So Gaye Chader Ko Tanker;
Hum Khamakhan Pareshan Hain Duniya Ki Sochker.
Ek Tu Hi Nahi Tanha Mashroof Jamane Main;
Tujh Jaise Yahan Bebus Aawam Hajaron Hain.
Mai Dekhker Unhein Fitratan Jo Muskura Diya ;
Wo Musk To Chupa Na Sake Munh Chhupa Liya.
Hum Ja Rahe Hain Unse Milne Hujoor ;
Humari Hifazat Ka Intezam Karo.
Hal Yehi Hai Ke Bus Rahun Tashna ;
Pyas Dariya Ko Mujhse Jyada Hai.
Isse Pehle Ke Ikhtiyar Mera Khud Pe Na Rahe ;
Chhup Ja Nazer Ke Samne Se Ya Dafa Ho Ja.
Shokh Mausam Hai Shayad Ghumne Wo Nikle Hain;
Unki Khushbu Aa Rahi Hai In Hawaon Main.
Sabko Milta Hai Apni Kismat Ka ;
Mehrban Koi Bant-Ta Kya Hai;
Aaj Mil Jaye To Mai Puchunga ;
Aakhir Tu Mujhse Chahta Kya Hai.
Itna Apna Pan Hai Faqat Deston Main;
Galiyaan Dete Hai Mager Dhal Dhal Ke;
Mai Jo Kehta Hun Usko Samjho;
Tum Jo Sochte Ho Wo Such Nahi Hai.
Teri Gali, Tera Koocha, Jahan Charcha Tera;
Ye Wo Jagah Hai Jahan Lut Gaya Sukun Mera.
Koi Umeed Nahi Ab Koi Khaw Nahi;
Na Wo Jajwat Hain Na Wo Ehsas Kahin.
Yun Bhi To Bahut Farq Hai Na Apne Darmayan;
Tu Husn -E- Baharan Hai Mai Gard -E- Aasman.
Gunchon Ka Ser Jhuka Hai Bade Ehtram Se;
Kaliyan Teri Kaneezein Hain Tu Shan-E-Bagwaan.
Ajeeb Tamasha Hua Pichhli Bahar Main ;
Kuchh Patte Ek Shakh Per Sookhe Hi Reh Gaye.
Na Aya Yakeen Humko Apni Nigah Per;
Gairon Ke Sath Mile The Wo Humko Rah Per.
Kyun Jalate Ho Khud Ko Is Tarah Se ;
Ke Jalte Bhi Raho Aur Khaq Bhi Na Ho Sako Tum.
Ek Umra Ho Gayi Hai Jalte Jalte Mager ;
Banda Hai Ke Phir Bhi Supurd-E-Khaq Nahi.
Ab Wo Darte Hain Bikher Aane Se ;
Wo Jo Bahon Main Kabhi Toot Gaye.
Udher Bhi Shikayat Idher Bhi Gila;
Na Unka Bhala Na Humara Bhala.
Aawad Hai Khana-E-Dil Teri Mohabbat Se;
Warna To Ismein Dhadkano Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi.
Garmi-E-Hasraton Se Zinda Hain.
Warna Is Dil Mein Dhadkanon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin.