Wo Pal Pal Ka Yaad Aana
Wo Pal Pal Ki Tanhaii
Ehsaas-E-Tamanna Ehsaas-E-Judai
Ek Tu Hi Najhi Sahara,
Aur Ye Zindagi Ghum Mein Kho Rahi Hai
Ay Raat Terey Kitney Kinarey Hain,
Aur Ek Tu Hi Humein Doobo Rahi Hai
Har Raat Kartey Hain Intezaar Tera
Har Subha Mayoosi Ney Sajaii
Ehsaas-E-Tamanna Ehsaas-E-Judaii
Fanah-E-Ishq To Ho Gaya,
Magar Najaney Kyuon Aata Nahi Yaqeen Dil Ko
Terey Saaey Taley Basar Ho Zindagi,
Aur Koi Aarzoo Nahi Dil Ko
Tu Bewafa Nahi Magar
Yeh Chahat Humi Ney Sirf Nibhaii
Ehsaas-E-Tamanna Ehsaas-E-Judaii
Nafrat Hai Humein Roshni Sey,
Jabsey Andheron Sey Dosti Ki Hai
Jeetey Nahi Hum, Martey Nahi Hum
Maano Key Khud Sey Dushmani Ki Hai
Nasamjhi Thi Humari, Jo Chaley Raah-E-Ishq Pe
Bewajeh Humney Apni Qismat Aazmaii
Ahsaas-E-Tamanna Ahsaas-E-Judaii
Loota Kisney Khushi Sey Hume,
Diya Kisney Humein Ye Ghum
Kaun Dey Gaya Umeedein Hume
Kisney Kiin Ye Ankhein Nam
Har Modr Pe Milli Zindagi Hume
Har Baar Ki Zindagi Ney Bewafai
Ehsaas-E-Tamanna Ehsaas-E-Judai
Wo Pal Pal Ka Yaad Ana
Wo Pal Pal Ki Tanhaii
Ehsaas-E-Tamanna Ehsaas-E-Judai