Wo Mujhe Tut Ker Chaahega Kabhi
Wo Meri Simt Laut Ker Aayega Kabhi (Simt–Towards)
Bas Iss Umeed Mein Hi Baitha Hun
Apna Her Vaada Wo Nibhayega Kabhi
Bas Yahi Soch Ker To Pyasa Hun
Wo Meri Pyas Bujhayega Kabhi
Deewaren Ye Soch Ker Hi Khushrang Hain
Wo Mere Ghar Ko Sajayega Kabhi
Bhul Ker Saari Ranjishen Or Gile
Wo Mujhe Milne Bulayega Kabhi
Wo Rulaata Thaa Phir Ye Kehta Thaa
Wo Mujhe Phir Na Rulayega Kabhi
Phir Kabhi Bhee Na Juda Hone Ko
Wo Mujhe Khud Mein Milayega Kabhi
Wo Mera Haal Samajh Nahi Paaya
Mujhe Haal Apna Samjhayega Kabhi
Karan Sochte Ho Pyaar Sabse Bada Hai
Ye Vaham Bhee Utar Jayega Kabhi