Wo Din Bhi Aagaya Har Haath Mein Patthar Nazar Aaya,
Badi Muddat Mein Deewano Ko Jeene Ka Hunar Aaya,
Kabhi Aisa Laga Dard Se Dil Ne Shafaa Payi,
Kabhi Ik Tez Nashtar Tha Ke Rag Rag Mein Utar Aaya Hai,

Jahan-E-Shauque Mein Youn To Charaghon Ki Kami Kya Thi,
Magar Ghurbar Mein Kaam Aakhir Charagh Rah Guzar Aaya,
Kabhi Youn Bhi Hua Hai Zindagi Ke Shokh Khwabhon Mein,
Abad Ka Rank Bharne Ke Liye Dast-E-Hunar Aaya,
Is Mitti Ka Sab Kuchh Hai Farz-E-Arsh Se -Ë—taaban-‘
Naa Dil Aaya, Naa Gham Aaya, Naa Sar Aaya, Naa Dar Aaya!!!