Wo Dard Jo Dil Ko Pasand Hai
Wo Kaanta Jiski Chubhan Pasand Hai
Wo Samay Jiski Yaadain Pasand Hai
Wo Raataine Jiski Andhere Pasand Hai
Wo Aadat Jo Aab Iss Dil Ko Pasand Hai
Wo Khwaab Jo Dekhna Pasand Hai
Iss Pasand Ko Aab Barso Huye Hain……………..
Wo Dard Jo Aab Mitha Sa Lagta Hai
Wo Kaanta Jo Ander Ja Chukaa Hai
Wo Yaadain Jo Jeevan Bana Hai
Wo Andhere Jo Ujaale Bana Hai
Wo Khwaab Jo Dawa Bana Hai
Iss Ko Bane Toh Barsoo Huye Hain…………….
Ye Meri Punji _jeevan Ki Bani Hai
Wo Kaante Aab Dukhte Nahi Hai
Jidd Hai Tumhaara Kanta Nikaal Hin Fenkoo
Chlo Ye Kaam Bhi Tumko Hin Dete Hain
Wo Dard Jo Seh Liyaa Tha _aab Ye Dard Ek Naya Milega
Ek Kaante Ko Nikaalne Ke Liye _duja Kaanta Chubhaana Padega
Fir Wo Lahoo Tapkega Fir Ek Naya Dard Milega
Jiss Dard Ko Sehne Main Barsoo Lage Hain …………….
Jisko Ander Jaane Main Barso Lage Hain
Jisko Sukhne Main Barsoo Huye Hain
Usko Nikaalne Main Bhi Barso Lagegain
Kyun Tumse Dekhi Nahi Jaati
Main Shaant Cupp Apne Aangan Main
Kyun Tumko Mere Aasoon Itne Pasand Hain .