Wo Chaand Door Hii Se Katraa Ke Chala Jaata Hain
Shayad Meri Zulmat Se Ghabraa Ke Chala Jaata Hain
Khalish-O-Tanhaaii Kyun Mar Ke Bhii Hain Saath Mere
Sachaa Dam-Saaz Bhii Dafnaa Ke Chala Jaata Hain
Sher-O-Ghazal Se Rahi Khuub Ham-Navaaii Meri
Ab Tau Har Khayaal Bhii Tadpaa Ke Chala Jaata Hain
Har Gunaah Kiya Qubuul, Har Zurm Hamein Tasleem
Phir Har Aashna Kyun Aaina Dikhlaa Ke Chala Jaata Hain
Ta-Umr Jis Khal-O-Khad Ke Rahe Diwaane Itne
Usi Paikar Ko Mera Nadeem Jalaa Ke Chala Jaata Hain
Na-Samajh Thhe Kisko Apna Samajh Baithe -Ë—paras-‘
Kadhi Ho Dhuup Tau Saaya Bhii Thukraa Ke Chala Jaata Hain