Wo Aks Ki Rooh Aur Adaa Ki Jaan Tha Main,
Mar Gaya Tha Usi Din Jab Unse Judaa Hua Main.
Us Waqt Ro Raha Tha Aasma Aur Bikhar Gaya Tha Main,
Aankhe Meri Num Thi Aur Ashq Ban Gaya Tha Main.
Kuch Logo Ne Meri Duniya Ujaad Di Aur Dekhta Raha Main,
Jo Khataa Na Ki Maine Uska Sazawaar Ban Gaya Main.
Saath Chhod Gayi Wo Aur Uska Rasta Takta Raha Main,
Dard Dil Me Dabaye Rakha Warna Mehfil Ko Rula Deta Main.
Lo Ab Apni Maut Ka Saaman Kar Raha Hu Main,
Apne Haatho Se Apna Janaza Sajaa Raha Hu Main.