Wada Nahi Kasam Bhi Nahi Koi Ikraar Bhi Nahi
Garr Ye Pyar Nahi He To Phir Pyar He Hi Nahi
Koi Intizar Nahi Koi Aas Nahi Umeed Bhi Nahi
Wo Garr Ab Bhi Na Ayaa To Kabhi Aee Ga Hi Nahi
Koi Jhoot Koi Dhoka Koi Fareeb Bhi Nahi
Garr Ye Sab Nahi Tha To Kia Tha-Â…kuch Bhi Nahi
Koi Wafa Koi Bharamm Koi Etmaad Hi Nahi
Garr Ye Sab Nahi He To Phir Kuch Bhi Nahi He
Koi Jazba Koi Chahatt Koi Tarapp Bhi Nahi
Socho Garr Ye Sab Nahi Tha To Kuch Bhi Nahi
Tumhen Paa Lene Ka Khuwab Tumhen Chooh Lene Ki Aas
In Sab Ke Siwa Kia He Mere Paas Kuch Bhi Nahi
Me Door Reh Kar Bhi Zinda Hoon Ji Raha Hoon Dekh Lo
Tumne Bhi To Pyar Kia He Ye Jeena,Jeena To Nahi
Mera Har Pall Ka Izhaar Meri Har Pall Ki Takraar
Ye Bhi Ik Adaa Thi Mere Pyar Ki Aur Kuch Bhi Nahi
Wo Tere Galon Ki Narmi Wo Tere Honton Ki Garmi
Wo Sare Pall Sirf Ik Yaad He Ab Aur Kuch Bhi Nahi
Mujh Se Koi Sawal Karo Mera Koi Bhi Imtihaan Le Lo
Mere Paas Dene Ke Liye Sirf Etbaar He Aur Kuch Bhi Nahi