Vohi Roz Maraah Ki Khabar Rakhte They
Hai Yaad Ham Bhi Kabhi Ghar Rakhte They
Isi Viraane Maen Tha Aashiyaan Kahin
Gumgashtaa Hi Sahi Magar Rakhte They
Yahi They Taqseem Kabhi Lamhaat-E-Zeest
Yahi Par Sham Yahi Sahar Rakhtey They
Raah Maen Door Chhod Gaye Hai Woh
Jo Kabhi Hame Hamsafar Rakhte They
Ajnabiyat Na Thi Pehle, Thi Manoosiyat
Jahan Jahan Jidhar Nazar Rakhtey They
Jala Ke Aashiyan Sitamgar Ko Kya Mila
Kya Jaata Koi Din Aur Agar Rakhte They
Voh Din Hawaa Huvey Lekin Aaj Bhi
Naam Humayun, Takhallus Mannu Rakhte They