Vivah Hota Hai Har Ladki Kaa Sapnaa,
Jisse Usko Milta Hai Jeevansathi Apnaa.
Vivaah Ki Belaa Bahut Mangal Hoti Hai,
Jisme Ashruon Se Aankhein Sajal Hoti Hai.
Jeevan Ke Pranaysootra Mein Bandhkar,
Dono Ban Jaate Hain Ek Dooje Ke Hamsafar.
Jahaan Khushiyon Ki Manjil Pane Ke Liye,
Chalnee Padti Hai Gamon Ki Dagar.
Vivaah Naa‚  Kewal Do Dilon Kaa,
Balki Do Parivaaron Ka Milan Hota Hai.
Jisme Pyaaraa Saa Piyaa Paakar,
Har Vivaahita Ka Jeevan Safal Hota Hai.
Ye Jindagi Kaa Wo Haseen Pal Hai,
Jab Aap Ek Dooje Ke Dil Mein Bas Jaate Hain.
Ek Dooje Se Jaraa Si Bhi Dooree Hone Par,
Wo Milne Ke Liye Tadap Jaate Hain.
Vadhoo Saat Janmon Ke Liye Ho Jaatee Hai Var Ki,
Chutkeebhar Sindoor Ke Maang Mein Padte Hi.
Beti Ho Jaati Hai Sadaa Ke Liye Paraayee,
Mata Pita Ke Kanyaadaan Karte Hi.
Saaton Pheron Ke Hote Hain Saat Vachan,
Jo Var Vadhu Ko Jeevanbhar Nibhaane Padte Hain.
Vadhu Ko Janmdata Se Door Rahkar,
Jeevan Ke Dukh Uthaane Padte Hain.
Jab Aatee Hai Bidaaee Ki Ghadi,
Tab Aankhein Aansuon Se Bhar Jati Hain.
Phat Jata Hai Maan Kaa Kalegaa,
Babul Ki Aankhein Bhi Bhar Aati Hain.
Bhaiyaa Bahan Ke Ujval Bhavishy Ki Kaamnaa Karte Hain.
Bhabhi Dulhan Ke Gale Lagkar Use Saantvana Deti Hain Ki,
Agar Tu Jaa Rahi Hai Sasuraal,
To Tere Maan Baap Kaa Main,
Pooraa Pooraa Rakhoongee Khayaal.
Ishwar Ne Kaisee Reet Banaayee Hai Ki,
Vivaah Ke Baad Ladki Kaa Ghar Uske Liye Paraayaa Ho Jata Hai.
Jis Ajnabee Ke Saath Usne Phere Liye,
Uska Ghar Uskaa Apnaa Ho Jaataa Hai.
Ek Taraf Agar Maan Baap Se Bichhadne Kaa Dukh Hota Hai To,
Doosri Taraf Salone Piyaa Se Milne Ki Umang Aur Badh Jati Hai.
Mahak Uthtaa Hai Uskaa Jeevan Khushiyon Se,
Aur Uske Chehre Ki Aabhaa Nikhar Jaati Hai.
Vivaah Ek Pyaaraa Saa Rishta Hota Hai,
Jise Pyaar Se Nibhaayaa Jaata Hai.
Apne Hamsafar Ke Ki Khushiyon Ke Liye Jeekar,
Apna Vaivaahik Jeevan Safal Banayaa Jaataa Hai.