Uski Tasveer Ko Aaj Jala Raha Hun Main
Aag Apne Dil Main Laga Raha Hun Main
Jo Sapne Dekhe The Maine Uske
Sang Ashkon Ke Unko Baha Raha Hun Main
Jiski Tasveer Se Uth Kar Raato
Mein Ki Baatein Maine
Jisko Dekhne Main Bitayi Kitni Hi Raatein Maine
Aankh Bhi Jab Band Hui
To Ki Thi Khwabo Main Mulakatein Maine
Ahsaas Magar Der Se Hua
Ik Jhoothi Aas Mai Duniya Saja Raha Hu Main
Uski Tasveer Ko Aaj Jala Raha Hu Main
Aag Apne Dil Main Laga Raha Hu Main
Bekhudi Main Jise Khuda Bana Rakha Tha Maine
Jiski Tasveer Ko Dil Ke Mandir
Main Laga Rakha Tha Maine
Jaan Liya Ab Lekin Ghar Mai
Ik Kaafir Basa Rakha Tha Maine
Ya-Ilaahi Dena Himaat Mujhe
Fir Apne Khudaa Ko Nakhudaa Bana Raha Hu Main
Uski Tasveer Ko Aaj Jala Raha Hu Main
Aag Apne Dil Main Laga Raha Hu Main
Samjhtaa Tha Wafa Ki Moorat Jisko
Bewafaai Ki Tasveer Nikli
Jiska Har Dard Liya Apne Seene Main
Woh Kitni Be-Peer Nikli
Tujhse Kya Gila Karun Ya Khuda Mere
Galat Meri Hi To Taqdeer Nikli
Isliye Ab Apni Kismat Ki Laqeeron Ko
Apne Haathon Se Mitaa Raha Hu Main
Uski Tasveer Ko Aaj Jala Raha Hu Main
Aag Apne Dil Main Laga Raha Hu Main
Jo Sapne Dekhe The Maine Uske
Sang Ashkon Ke Unko Baha Raha Hu Main