Use Khuda Na Kahoon, To, Khuda Kahoon Kis Ko?
Tujhe Khuda Kahoon, To, Budbuda Kahoon Kis Ko?
Tamaam Aasmaan Mein, Tamaam Taare Hain
Agar Tumhaare Sabhi Hain: Sabhi Hamaare Hain
Hawaa Hai: Baad-E-Sabaa Ho, Ki, Tund Baade-Samoom
Khushi Ho, Agam-Ae-Mashaqqat Ho: Do Kinaare Hain
Yeh Bahr-E-Zeest Hai; Paikar Mahaz Safeenah Hai
Us Kaa Maqsad Nahin Maalum: Hamain Jinaa Hai
Baad-Ae-Ishq Ho, Tahoor Baad-Ae-Nosheen
Baad-Ae-Talkh Ho; Jo Bhi Ho, Hamain Peenaa Hai
Sard Aatish, To, Kaheen Par Hai Aatishee Paanee
Saath Hain Aisey, To, Fir, Mein Judaa Kahoon Kis Ko?
Tujhey Khudaa Kahoon, To, Budbudaa Kahoon Kis Ko?
Usey Khudaa Na Kahoon, To, Khuda Kahoon Kis Ko?
Woh Koun Hai? Woh Kahaan Hai? Magar Bulaataa Hai
Khwaab Mein, Woh Naheen Aataa, To, Koun Aataa Hai?
Ab To, Haalat Hai Is Dimaag Ki, ‘Abd’, Aisee
Jis Ko Rakhanaa Hai Yaad, Us Ko Bhool Jaataa Hai
Ab To, Aataa Hai Maahtaab Liye Taareekee
Tasawwuraat Ki Kaafoor Huyee Baareeqee
Khoob Pahichaanaa Bhi, Anjaanaa Nazar Aataa Hai
Roo-B-Roo Hai Panaahgaah Sabuksaaree Kee
Mujh Ko, Taameer-E-Jaw Kahaan Hai? Bataaye Koyee
Raahabar Ko Na, To, Fir, Naakhudaa Kahoon Kis Ko?
Tujhey Khudaa Kahoon, To, Budbudaa Kahoon Kis Ko?
Usey Khudaa Na Kahoon, To, Khuda Kahoon Kis Ko?