Unhe Yaad Rakhtey Hai To Zamane Se Giley Karte Hai,
Aur Bhul Jaaye To Khud Se Nazre Churate Hai,
Bhuley To Bhuley Kaisi Hum Yaaro Unko,
Har Ik Cheez Me Dhikta Hai Unhi Ka Aks Humko,
Har Lamha Rula Deti Hai Hame Ik Aarzu Unki,
Bhuley Kaisi Basi Hai Tasveer Is Dil Me Unki,
Mitatey Hai Har Roz Khud Ko Aur Roz Dete Hai Dhoka.
Par Yaad Ne Unki Jaane Ka Hame Na Diya Kabhi Moka,
Kahi Na Kahi Se Ubhar Ke Aa Hi Jaati Hai,
Agar Hontho Pe Naam Na Aaye To Tassavur Me Aa Hi Jaati Hai,
Din To Dhal Jaatta Hai Duniya Walo Ki Mehfil Mein,
Raat Ko Phir Vahi Siskiya Leta Hai Rota Hai Koyi Is Dil Main,
Muskrahat Hame Raas Na Aayi, Mili Har Lamha Tanhayi,
Shayad Aisa Hi Hota Hai Yahi Hai Khuda Teri Khudayi,
Kyunki, Unhe Yaad Rakhtey Hai To Zamane Se Giley Karte Hai,
Aur Bhul Jaaye To Khud Se Nazre Churate Hai