Umr Ab Barhne Lagi Hai
Mujhe Bachchon Ki Taraah Na Behlaao Dil,
Mai Jindgi Ki Haqeekat Samajhne Laga Hoon
Mujhe Pariyon Ki Kahaaniyaan Na Sunaao Dil,
Ik Umr Se Jee Raha Hoon
Feeki Ummeedon Or Dikhaave Ke Naaton Me,
Meri Jubaan Ka Jaayka Namkeen Sa Ho Chala Hai
Ye Jhoothi Mithaas Na Gholo Apni Baaton Me,
Mai Samajhta Hoon Dard Naakaami Ka Bhi
Yoon Dilaason Se Mujhko Na Sehlaao Tum,
Ye Me Buzdili Mujhe Marne Bhi Na Degi
Mere Mut.Taliq Itni Fikrmandi Na Jataao Tum,
Khoobsoorat Chehron Me Na Uljhaao Tum Mujhko
Khoobsoorat Chahron Ki Haqeekat Batata Hoon Mai,
Jo Soorat Hi Nahi Seerat Ki Bhi Khabar Dete Hain
Ik Umr Se Wahi-Wahi Se Aaine Banaata Hoon Mai,
Or Ek Umr Se Jis Safar Me Hoon Ey Dil
Wo Abtak Tanha Hi To Bitaaya Hai,
Is Shaam Ke Andhere Se Na Daraao Mujhko
Ye Chaand Is Jameen Per Ik Shaam Ko Hi Aaya Hai.