Ulfat-E-Zaam Piye Jaate Hain,
Khud Se Hi Intekaam Liye Jaate Hain.
Tum To Nahin Khud Hi Gunahgaar Hain Hum,
Apne Sar Per Ye Elzaam Liye Jaate Hain.
Ab To Zindagi Se Bhi Maut Ki Bo Aaye,
Hum Ab Kiske Liye Badnaam Jiye Jaate Hain.
Laakh Minnat Pe Sitamgar Ne Ye Kaha Mujhse,
Tujhko Teri Umr Hi Ab Eenaam Diye Jaate Hain.
Wo Muskuraate Hain To Aah Lav Pe Aati Hai,
Berukhi Mein Bhi Ulfat Ka Koi Saaman Diye Jaate Hain.
Surkh Gaalon Ke Paseene Pe Mar Gaya Hoon,
Wo Shokhiyon Se Ab Badnaam Kiye Jaate Hain.
Mujhko Dekha To Sharmaan Ke Wo Bole,
Kahaan Se Roz Saki-E-Zaam Piye Jaate Hain.
Kya Bataayen Hum Apni Haalat “Majbur”
Unke Zalwon Mein Subah-O-Shaam Jiye Jaate Hain.