Ubhar Aaye Hai Bahaaro Ke Chale Jaane Se
Ek Junoon Jiska Taalluk Nahin Viraane Se
Umr Bhar Ki Ye Miri Parvarishe-Sozo-Gudaaz
Phir Tamanna Ben Jati Hai Tere Aane Se
Jis Tawazzoh Ki Zaroorat Thi,Wahi Jab Na Huyi
Kya Hua Ek Chhalakte Hue Paimaane Se
Woh Tahassur Jo Tire Gum Se Tire Rooh Mein Hai
Tujhko Mahsoos Na Hoga Tire Afsane Se
Aaise Beaasara Chhoda Hai Ki Ab Tak-E-Dost
Boo-E-Gul Khel Rahi Hai Tire Deewano Se
Koi Aaisa Nahin ‘Sahil’ Bhi To Rakha Hai
Kya Bhigar Jayega Ek Baar Waha Jaane Se