Tumhare Saath Kabhi Jo Bitaye The Do Pal
Samay Ke Aanchal Ko Lapete Hue Hain Aaj Bhi Woh Pal
Waqt Ki Dariya Ke Us Paar Chale Gaye Jo
Aaj Un Bichde Hue Palon Se Milne Ki Aas Kyon Hai
Baar Baar Man Ko Choo Jaati Hain Kuch Yaaden
Kabhi Dheeme Se Muskura Kar Roola Jaati Hain Woh Yaaden
Kabhi Jo Ithla Kar Aankh Michouli Khela Karti Thi
Aaj Un Yaadon Par Tanhai Ka Yeh Libaas Kyon Hai
Woh Jo Sunai Deti Hai Khamosh Si Lahoo-Loohan Dhadkan
Kabhi Simat Kar Apne Aap Mein Sisakti Hui Dhadkan
Tumhare Saath Chali Gayi Jin Dhadkanon Ki Aawaaz
Aaj Un Gungunate Hue Dhadkano Ki Talash Kyon Hai
Kisi Anjaan Manzil Par Phir Mulakat Hogi, Itna Hai Yakeen
Agar Tum Nahin To Tumhare Kadmon Ki Aahat Hogi Itna Hai Yakeen
Jinke Sahare Kal Tak Man Ko Behlaya Karta Tha
Aaj Un Yakeenon Ke Toot Jaane Ka Aabhas Kyon Hai