Tum Ho Meeri Kitab Ki Jis Ke
Her Bab Mein Hey Teeri Zaat
Her Safey Per Teera Saath
Her Werq Per Teeri Sifaat
Her Ibarat Mein Teeri Baat
Her Lafz Per Teera Chehra
Her Herf Per Terey Hoont
Her Nuqt Per Teeri Aankhein
Tera Chehra Hey Ya Meeri Kitab
Samoo Loon Apni Banhoon Mein
Apney Seeney Per Rakh Ker So Jaon
Aur Terey Sapnoon Mein Kho Jaon
Jahan Teri Muhabat Ka Imtahan Ho
Jahan Teri Ulfat Ka Bayan Ho
Jahan Teri Chahat Ka Zaman Ho
Jahan Khooshion Ka Samaan Ho
Titlion Jaisi Teeri Ada Ho
Aur Moatter Teri Khooshbo Sey
Merey Gulshan Ki Faza Ho
Jahan Tujh Per Meeri Nazar Ho
Na Duniya Ki Mujhey Khabar Ho
Gulaboon Sey Bhari Teeri Jholi Ho
Sitaroon Per Teri Haweeli Ho
Jis Mein Rehti Tuu Akeli Ho
Mein Urr Ker Aaon Khushboo Ban Ki
Aur Terey Dil Mein Sama Jaon
Taroon Bhari Is Raat Mein
Jab Tuu Merey Saath Ho
Aur Kaisi Achi Mulaqat Ho
Jab Muhabbat Ki Sirf Baat Ho
Aur Dil Mera Betaab Ho
Dekh Ker Tera Ye Shabab
Moonh Choopaey Chanda-O-Mahtaab
Mangey Hoont Teri Sharab
Pila Ja Ham Ko Bhi Aab-E-Hayat
Ham To Bhool Hi Gaey Sab Aadab
Bas Yahi Hein Merey Khawab
Aur Yahi Hey Meeri Kitaab