Tujhse Door Kya Huwe,Hum Muskurana Bhool Gaye
Zinda To Hai Par Jeene Ki Ada Bhool Gaye
Chalte-Chalte Manzil Par Pahunch Hi Jaate Khwaish
Par Aakhiri Mukhaam Par Hi The Ke
Manzil Ka Pata Bhool Gaye
Na Jaane Kis Baat Par Hum Rote Rahe Yuh Tadap-Tadap Kar
Dekh Meri Deewangi,Aaj Rone Ki Wajeh Bhi Bhool Gaye
Bewafai Ka Ilzaam De Gaya Woh Shaks Kuch Iss Tarah
Ke Ab Waffa Kya Hai Waffa Ke Maayne Bhi Bhool Gaye
Tujhse Door Jaane Ka Kabhi Socha Bhi Na Tha
Par Ab Jo Door Hue,Tere Paas Vaapas Aane Ka Raasta Bhool Gaye
Kuch Beete Hue Palo Ne Diye Hai Chot Kuch Is Tarah
Ke Ab Iss Jism Mein Kuch Ehsaas Zinda Hai Bhi Ya Nahi,Bhool Gaye
Band Palkon Se Tujhe Aaj Bhi Dekhta Rehta Hai “Khwaish”
Jaanta Hoon, Kuch Haasil Nahi Iss Dard-E-Safar Mein,
Par Anjaam Ke Khauf Se Khud Ko Darana Bhool Gaye
Gham Aur Dard Se Rishta Kuch Yuh Jam Sa Gaya Hai Apna
Ke Ab Muskurana Bhool Gaye