Tujhe Ab Bhee Yaad Karte Hain
Bezarar Se Mojein Yaadon Aur Wafaon Ke Sahilon Se Takra Kar
Jab Wapis Tut Ti Hain Tou Majburiyon Ke Chud Ghonghe Aur Aas
Ki Kucch Seepyan Chorh Jati Hain
Aey Humsafer! Ager Kabhi Apni Zindagi Se Uljo
Tou Bebasi Ke Sahilon Ki Taraf Nikal Jana,
Be-Ant Musafir Ke Khuwabon Ke Safeene, Sapno Ki Lehron Ko
Dekhna Ke Woh Kitni Rawani Se Sahilon Se Takrati Hain
Chaand Ki Chandni Mein Jab Bebasi Ka Mausam Ho
Udasiyon Ka Raaj Ho Tou Yeh Lehrein Kitna Sakun Bakshti Hain
Kitne Purkaif Nazaarepaish Karti Hainaur Jis Rawani Se Nazdeek Ati Hain,
Isse Kahien Tezi Se Wapis Chali Jati Hain
Yehsansanahat Yeh Shorshein Yeh Udasiyan Mera Hi Muqaddar Kyun Hain?
Aey Humsafer Zindagi Ke Yeh Utaar Charhao Buhat Kucch Sikhla Dete Hain,
Bharam Rakh Meri Wafaon Ka Kyun Ke Duniya Mein Kisi Cheez Ko
Bhee Sabaat Nahi Dost Banane Meindeir Kitni Lagti Hai Lekin..
Aik Chohti Se Baat Per Purani Dosti Khatam Hojati Hain
Koi Yaqeen Se Nahi Kehsakta Ke Jo Aaj Rafeeq Bana Hua Hain,
Iske Dil Mein Kal Bhi Itni Hi Muhabbat Hogi Ya Phir
Zara Si Judai Mamooli Si Galat Fehmi Takkhayyul Ki Galat Parwaz,
Shab-O-Roz Ki Yaksaaniyat Kisi Teesre Ki Aamad
Ba’az Auqat Koi Waja Bhi Nahi Hoti Aur Aanan Faanan Sab Kucch
Khatam Hojata Hai Aur Insaan Kucch Samjh Nahi Sakta Ke
Yeh Kyun Aur Kaise Hua Woh Tou Bass Haath Malta Rehjata Hai
Aur Sochta Rehjata Hai Ke Kaash Aisa Na Hota Aey Kaassh