Teri Mohabbat Mein Jal Ke Hum Ab Raakh Hogaye
Apni Jhuti Hasi Mein Dabke Hum Aaj Khaak Hogaye
Jin Raston Pe Tere Jalwon Kaa Haseen Manzar Tha
Tere Jaane Se Ab Toh Woh Bhii Sabhi Veeran Hogaye
Teri Chaahat Se Dil-O-Jaan Mera Bada Ameer Tha
Tum Kya Gaye Is Zindagi Se Hum Toh Naadaar Hogaye
Kya Hua Kaise Hum Dard-E-Wafaa Ke Beemaar Huye
In Sawaalon Ka Jawaab Dede Ke Hum Pareshan Hogaye
Tu Tha Ekk Bhavra Awaara Phul Phul Mandrane Wala
Kyun Teri Masoom Soorat Ke Hum Saudaa-Ii Hogaye
Tujhpe Aur Teri Mohabbat Pe Kitna Naaz Tha Hame
Saari Duniya Kii Nazron Mein Hum Sharmsaar Hogaye
Tha Khauf Kise Is Duniya Kii Duniyaa- Daari Ka
Apni Hii Jhuki Nazron Ke Ab Hum Gunehgaar Hogaye
Kaash Tum Yun Naa Is Dil Kii Kali Rondh Ke Jaate
Tum Kya Gaye Mere Dil Ke Baagh To Sunsaan Hogaye
Jisne Bhi Dekha Sabhi Farhana Ke Haal Pe Rodiye
Aye Zaalim Teri Ulfat Mein Hum Kya Se Kyaa Hogaye