Tanhaayi Wo Ous Ki Bund Hain
Jo Taru Ke Pushp-Pattiyon
Par Ek Moti Ki Bund Si Achi Lagti Hain
Par Jab Pattiyan Unme Doob Jaaye
To Ashru Si Lagti Hain

Tanhaayi Wo Andhere Ki Aas Hain
Jo Khud Ka Ehsaas Karati Hain
Jab Vyathit Man Gatha Sunaye
To Chup Kar Sun Jaati Hain
Tanhaayi Wo Aawaaz Hain
Jo Bin Kahe Sab Kuch Kah Jati Hain
Tanhaayi Wo Laaw Hain
Kabhi Jalti Hain
Kabhi Jalaati Hain
Kabhi Aansu Hain, Kabhi Paani Hain
Kabhi Sathi Hain, Kabhi Veeranhi Hain
Tanhayi Saade Panno Ki Kahaani Hain
Tanhaayi Wo Taar Hain Tarano Ki
Jinse Dhun Bhi Aati Hain
Par In Tarangon Ke Path Par
Rahti Rawaani Hain
Kabhi Aansu Hain, Kabhi Paani Hain
Tanhayi Ki Yahi Kahaani Hain