Suna Hai Nazakat Mein Tu Sabse Dilnasheen Hai
Itrane Ka Fakat Ye Bahana Dekho Sahi Nahin Hai
Maana Teri Aankho Si Gehri Koi Sharaab Nahin
Ishq Ka Aaina Hu Main, Mera Bhi Koi Jawaab Nahin
Bahaaron Ke Haath Kaaynat Ne Tujhe Ye Paigam Diya Hai
Aashiqon Ki Anjuman Ne Mujhe Dewaana Naam Diya Hai
Maana Aisa Deewana Teri Nazar Mein Lajawaab Nahin
Mehfilon Ka Afsana Hu Main, Mera Koi Jawaab Nahin
Teri Ek Jhalak Ko Beshak Taraste Honge Lakh Hazaar
Ishq Ki Adalat Mein Tere Kaaran Honge Kai Gunahgaar
Tere Sajde Mein Jhukne Walon Ka Maana Koi Hisaab Nahin
Beparda Ishq Hu Main, Mera Bhi Koi Jawaab Nahin
Dekha Hai Tere Dar Pe Lagi Meelon Lambi Kataar Ko
Taraste Hain Kai Diljale Aashiq Tere Deedar Ko
Tere Dilkash Roop Jaisa Aur Koi Shabaab Nahin
Aks Hu Tere Noor Ka Main, Mera Bhi Koi Jawaab Nahin
Tujhe Paane Ke Hasrat Mein Jaane Kitne Paagal Hue
Tere Bedard Nakron Ke Dheron Aashiq Ghayal Hue
Tere Chahne Walon Ki Fehrist Mein Koi Humsa Betaab Nahin
Ziddi Deewana Hu “Jaan”, Mera Bhi Koi Jawaab Nahin
Parkhe Hain Kai Phool Gulshan Ke, Tujhsa Koi Gulaab Nahin
Kar Sake Tere Noor Ko Alankrit, Aisi Koi Kitaab Nahin
Ek Baar Dekh Parakh Kar Mujhe, Yahi Guzarish Karta Hu
Ki Ho Kisi Aur Ki Khwahish, Aisa Pal Yaad Nahin
Teri Hi Parchayi Hu Aur Tujhsa Koi Lajawaab Nahin
Maan Le “Jaan” “Ehsaas” Ka Bhi Koi Jawaab Nahin