Shab Saher Do-Pahar Aur Shaam Tanhai Ke
Ek Ke Baad Ek Aate Rahe Maqaam Tanhai Ke
Badalte Rahe Baar Baar Mausam-E-Jahaan
Par Dil Ko Lage Mausam Tamaam Tanhai Ke

Yaar Ki Vafaa Na Hui Agar Naam To Kyaa
Chalo Bewafaai To Kuch Aayi Kaam Tanhai Ke
Rashq Itna Maqaam-E-Wujood-E-Tanha Dekhkar
Aane Lage Phir Mujh Talak Payaam Tanhai Ke
Ashkhon Ki Ibaarat Laaya Yaadon Ka Hujuum
Karun Kya Kya Maen Tahreer Inaam Tanhai Ke
Fitrat Ki Turfagi Ye Mayoosi Ye Ashuftaagi
Tabeeyat Kare Mizaaj-E-Ehteraam Tanhai Ke
Tanhaa Safar Ki Hai “Fer” Tanhaai Manzil
Ibtedaa Bhi Darmiyaan Aur Anjaam Tanhai Ke