Shaam Ki Surmayi Ankhon Ko Jis Tarah Chand Ka Intezaar Hota Hai,
Us Bewafa Yaar Ki Yaad Mein Phir Mera Yeh Bebas Dil Rota Hai.
Chaand Ke Aate Hi Jis Tarah Yeh Aasmaan Phirse Roshan Hota Hai,
Asuon Ke Aate Hi Ankhon Me Ek Ajab Sa Dhundhla Pan Hota Hai.

Timtimati Sitaaron Ki Chamak Mein Jab Yeh Sara Jahaan Sotaa Hai,
Tab Unke Paas Na Hone Ka Mujhe Phir Ghame Ehsaas Hota Hai.
Wo Laut Ayenge Mere Paas Phir Yeh Dil Ko Jhuta Ehsaas Hota Hai,
Is Matlab Ki Duniya Mein Aye Farhana Kaun Yaha Kiska Hota Hai.
Aye Duniya Waalon Kya Yeh Rishtaa Bhi Bhala Koi Rishtaa Hota Hai,
Jisme Kabhi Na Paakar Yeh Dil Har Pal Bas Khota Ho Khota Hai