Sasural Ki Khatirdari Se Hum Bade Impressed The
Pahli Baar Sasural Gaye Thode Bahoot Depressed The
Jaate Hi Nashte Me Kai Mithai Aai
Namkeen Saath Me Cold Drink Bhi Saath Aai
Fir Maan Aur Samman Ki To Baat Na Karo
Khaane Me Teen Sabzi Roti Rumali Aai
Achaar Bhi Kai The Meethe Me Ras Malai
Desi Ghee Ki Daal Basmati The Rice
Khatirdaari Ne Humpe Asar Aisa Dikha Diya
Do Din Ko Aaye The Aur Hafta Bita Diya
Dabi Zaban Me Hume Saasu Bhi Puche Jaaye
Kya Jamai Ji Ne Return Ticket Cancel Kara Diya
Agle Hi Roj Se Menu Tabdeel Tha Naya Tha
Nashte Me Mithai Ka Ek Katara Tak Nahi Tha
Khaane Me Bhi Rakhi Thi Ek Hi Tarkaari
Daal Bhi Humne Bina Desi Ghee Ke Hi Sweekaari
Agle Hafte Me Doston Kuch Aisa Bana Sama
Saasu Ne Sounpi List Aur Ek Jhola Diya Thama
Dhote Hue Tarkaari Hume Laaja Badi Hi Aai
Kaisa Ye Sasural Miyan Aur Kaise Hum Jawai
Pahle Khana Lagakar Hume Bulaya Jata Tha
Ab Khud Kahte The Kai Baar Fir Khana Aata Tha
Dinner Ke Liye Kaha Aur Biwi Ka Jawab Lo
Rakha Hai Rasoi Me Khud Hi Nikaal Lo
Tis Par Bhi Jab Date Rahe Hum Apne Sasural Me
Khane Ke Is Jawab Ne To Khalbali Macha Di Kapal Me
Gas Hai Aata Hai Tarkaari Rakhi Wahin Hai
Khud Hi Bana Lo Damad Ji Aaj Tabiyat Thik Nahi Hai
Kahani Ab Bhi Poori Khatm Nahi Hai Bhai
Aajkal “Nathulal Ji” Bane Bithe Hain Gharjamai