Sanp Bhee Zahar Chod De Aisi, Uske Man Kee Baten Hain
Us Kee Baten Suno Agar Tum, Sab Chandan Kee Baten Hain
Zehan Ko Kyon Uljahti He Too, Ye Dharkan Kee Baten Hain
Kuch Tere Man Kee Baten Kuch, Mere Man Kee Baten Hain
Chhat Par Akar Chand Ko Main Ab, Mere Geet Sunata Hoon
Is Duniya Ke Liye Pyar Bas, Pagal-Pan Kee Baten Hain
Kuch Lamhe Mile Yahan Aise, Jahan Zindgee Thahar Gayi
Jo Bhee Geet Likhta Hoon Ab, Wo Bachpan Kee Baten Hain
Kabhee Ayeena Dekh Ke Tujh Ko, Pyar Sa Khud Pe Ata Hai
Tere Man Main Kaheen Kaheen, Mere Man Kee Baten Hain
Koyi Nazuk Lafz Mile To, Jhuk Ke Sazda Karte Hain Ham
Ab Tak Bhee Bakee Ham Mein, Shayerpan Kee Baten Hain
Ahlekhirad Hee Ye Janen, Pench Sukhan Ke Kya Hote Hain
Mere Geeton Main Yoon Hee See, Ghar Agan Kee Baten Hain
Masum Dekh Ke Dard Kisi Ka, Ghazal Bhaagti Thee Teri
Woh Mausam Ab Kaha Gaye Hain, Kis Sawan Kee Baten Hain