Sanam Tu Kisi Aur Ka Humsafar Hai Shayad
Meri Manzil Ki Koi Aur Rehguzar Hai Shayad
Teri Soorat Chaand Mein Dikhaai De Rahi Hai
Ye Zakhm-E-Dil-E-Dard Ka Asar Hai Shayad
Aa To Jaata Woh Meri Pursish Ke Vaaste
Woh Mere Haal Se Hi Be-Khabar Hai Shayad
Katraa Rahe Hain Jo Mere Paas Aane Se
Tinko Ko Bhi Doob Jaane Ka Darr Hai Shayad
Aankh Bhar Aayi Hai Jisko Jaltaa Dekh Kar
Zaroor Ye Ujaad Sa Hi Mera Ghar Hai Shayad
Na Rakh Umeed Uske Aane Ki Tu “Jatinder Singh”
Khush Woh Tujhko Rota Dekh Kar Hai Shayad