Samundar Kii Raharo Kii Tarah Dard Ufan Raha Hain
Aag Ke Sholo Kii Tarah Machal Ker Badh Raha Hain
Hawa Mein Surgarmi Hain Chaandani Bhii Hain Garam
Khaak Mein Milaane Ko Ye Khoob Machal Raha Hain
Paani Mein Hain Aag Laga, Amrit Hain Vish Se Sana
Jalaane Ko Aashiyaana Kadam Isaka Chal Raha Hain
Kashti Hain Tut Gayi, Tufan Bhii Hain Badh Raha
Aagosh Mei Le Jaane Ko Wo Kitana Machal Raha Hain
Garm Garm Hawa Ke Jhonko Ke Sang Badhati Aag
Jhulsaa Kar Tan-Man Ko Khood Kitana Has Raha Hain
Subah Kaa Suraj Aag Barsaaye, Dil Mei Kahar Dhaaye
Nadi Ke Saamne Hii Bebasi Se Wrikchh Jal Raha Hain
Chaanw Ko Taras Rahe Thay Naina Pyaase-Pyaase
Ab‚  Wo Hain Kareeb To Khood Ye Door Nikal Raha Hain
Dar Hain Kii Garima Chaaw Kii Angaaro Mei Gir Naa Jaaye
Isliye Khood Sholo Mein Jalane Ko Ho Taiyaar Chal Raha Hain
Khaamosh Nayan, Karate Muskuraane Kaa Hain Praytn
Bejubaan Dil Maun Jal Jaane Kaa Rukh Kar Raha Hain