Sabka Apna Apna Rona, Mera Apna Apna Rona,
Insaan Ki Asliyat Hai Rona, Insaan Ka Her Sapna Hai Rona
Ab Bas Karo Ki Bhar Gaye Samander, Baasi Maut Pe Kitna Rona
Tum He Kaho Ye Insaaf Kahaan Ka, Mujhe Samjhao Usool Jahaan Ka
Ek Hasrat Ke Marr Jaane Per, Insaan Ke Marrne Jitna Rona
Sabka Apna Apna Rona Mera Apna Apna Rona,
Jinn Aankhon Se Sach Ko Dekha, Unn Aankhon Ka Nahi Thikaana
Jinn Aankhon Se Duniya Dekhi, Unn Aankhon Se Itna Rona,
Din Me Din Ka Jalte Rehna Shab Me Chaand Ka Qaatil Hona,
Insaan Ka Jism Se Ujadna Rona Insaan Ka Jism Me Basna Rona,
Sabka Apna Apna Rona, Mera Apna Apna Rona,
Insaan Ki Asliyat Hai Rona, Insaan Ka Her Sapna Hai Rona,