Saavan Ki Pehli Barsaat Banoon, Ya Kali Ki Khilti Muskaan Banoon
Yaa Barson Se Bichadhe Dilon Ke, Vasl Ki Pehli Raat Banoon
Kavi Kee Kavita Ban Jaaon, Yaa Saaz Ka Meetha Sur Ban Jaaon
Maujon Mein Sar-Mast Dariya Sii, Chaah Mein Girti Padhti Jaaon
Ruk Jaaon Tere Honthon Pe Main, Machal Kar, Koyi Dil Kee Baat
Ya Iss Meheke Meheke Mausam Mein, Kar Loon Pehli Sii Mulaqaat
Jaane Kis May-Kashii Mein, Behak Behak Gayi Sabaa
Chuum Kar Bheege Baalon Ko, Dehekaa Gayi Zaalim Sabaa
Bheega Saawan, Bheegi Raatein, Kaise Dil Ko Samjhaayein
Baras Baras Ke Garaj Garaj Ke, Ghataayein, Pi Ki Yaad Le Aayien
Meheki Dagar Hai, Beheki Nazar Hai
Thodi Besudh, Thodhi Bekhabar Hai
Dar Ko Takoon, Tilmilaati Phiroon Main
Har Aahat Pe Nazzrein, Bichhaati Phiroon Main
Dhadake Hai Jee Mera, Barq See Lehraaye Hai
Chupke Se Zulfon Mein, Wo Phuul Laga Jaaye Hai
Na Jaagi Na Soyi Sii, Gumsum Kuchh Khoyi Sii
Kuchh Aariz Hain Nam Se, Aankhein Bhi Hain Royi Sii
Udhh Jaaye Mera Aanchal Re, Jee Bas Mein Ab Na Aaye Re
Chudhaa Kar Haath, Lo Bairee, Yahaan Waahaa Jaaye Re
Koyi -Ë—paras-‘ Ke Pii Se Keh Do, Sawan Ki Niyat Buri Hai
Saari Raat Jaage Hain Ham, Ab Jaa Kar Aankh Lagi Hai