Saanson Mein Basi Wo Khushbu Yaad Hai Aaj Bhi
K Foolon Ko Dekhkar Muskaya Karte The Hum,
Paigam Laati Thi Hawa Tera Jab Bhi
Mere Galon Pe Surkh Rang Chhod Jati Thi
Teri Baatein Aj Bhi Ateet Se Sunayi Deti Hain,
To Sangeet Ki Sarhadon Ko Chhu Leta Hun
Un Gehri Aankhon Mein Doobe The Jo Ekbaar,
Aaj Bhi Koi Kinara Nazar Nahin Aata,
Pata Nahin Kab Raat Hui Aur Kab Fir Se Din
Teri Palkon Ne Jhapakana Band Kar Diya Jab Se
Yaad Kar Har Wo Lamha Bhar Aati Hain Aankhein
Bhor Ka Ik Taara Ye Paigam Deta Ho Tumhe Shayad
Ek Baar Fir Sunbah Dekhne Ko Mil Jaye Agar
To Ek Baar Aur Muskuraun Foolon Ko Dekhkar
Durr Kahin Sangeet Bajta Sunayi Pade Aur,
Ik Hawa Ka Jhonka Fir Gaalon Pe Surkh Rangat Chhod Jaye