Saans Hawaa Ban Kar Seene Ke Aatish Ko Barhkaaye To
Jeevan Phir Bhee Jeevan Tehra, Daaman Maut Bachaaye To
Kaise Jeete Hain Jeevan Mein, Kaise Saath Nibhaate Hain
Aa Kar Thaam Le Koi Hum Ko Or Koi Samjhaaye To
Inn Ashkon Se Dub Ke Aakhir Hum Ne Hansna Chahaa Hain
Na-Mumkin Ko Mumkin Karna Koi Hamein Sikhlaaye To
Apni Maazi Ke Yaadon Ke Hum Iklaute Waaris Hain
Jo Bhee Maang Raha Hai Hum Ko, Unn Ko Bhee Apnaye To
Hum Bhee Bilkul Toot Gaye, Unki Bhee Hain Aankhein Num
Lekin Apne Beech Mein Aa Kar Baat Koi Suljhaye To
Khud Ko Ruswa Karne Se Behtar Hai Khaamosh Rahein
Aa Kar Beech Kahaani Mein Tum Jo Kahin Ghabraye To
Yeh Lo Duniya Waalo Tum Par Aryaan Ne Khud Ko Waar Diya
Ab Tum Mein Se Koi Aaye, Aur Ussey Dafnaaye To