Saal Dar Saal Beet Rahi Hai Yeh Zindgee
Nahi Rok Sakti Hai Yeh Jeene Ka Ulhaas
Kyuki Abhi Tak Tuti Nahi Hai Dil Mein Mere
Ek Aur Madhumass Bitaane Ki Aas
Abhi Tufaanee Hawaon Jara Taharo
Mat Karo Yun Mere Jeevan Ka Haass
Kyuki Abhi Tak Meri Zindgee Mein Bachee Hai
Ek Aur Jeevan Jeene Ki Aa
Abhi Toh Karni Hai Kai Baaten Phoolon Se
Abhi Toh Jhumana Hai Mast Hawao Ke Jhoole Se
Abhi Toh Chunani Hai Kaliyaan Baagoon Se
Abhi Na Karaao Mujhe Kanto Ki Chubhan Ka Ehasas
Kyuki Abhi Tak Hai Meri Zindgee Mein
Ek Aur Jeevan Ki Payas
Abhi Bhi Mera Dil Suraj Ke Taap Se Nahi Hai Ghabarta
Abhi Bhi Chaand Hai Apni Chandnee Ki Thandak Pahunchata
Abhi Bhi Bahut Apna Sa Lagta Hai
Yeh Taaron Bhara Akaash
Kyuki Abhi Bhi Is Dil Mein Hai
Ek Aur Aasman Chhoone Ka Vishwas
Abhi Kuch Der Aur Sawan Ke Jhoole Jhoolane Do
Abhi Kuch Der Aur Apne Bachpane Ko Jee Lane Do
Abhi Kuch Der Aur Nadiya Ki Laharo Sa Machalne Do
Bahut Bachi Hai Abhi Bhi Dil Mein Ek Pavitare Si Payas
Kyuki Khatam Nahi Hua Hai Is Jeevan Ke
Sukhane Ka Abhi Ehasas
Tab Dastak Dena Umar Tum Apni
Jab Dil Mein Jeene Ki Koi Umang Na Ho
Jab Dil Ka Koi Kona Pyasa Na Ho
Aur Yun Hi Bewazah Jeevan Ko Jeene Ki Abhilasha Na Ho
Per Abhi Meri Komal Bhavnaon Ko Lagao Na
Beetate Samaye Ka Abhishaap
Kyuki Abhi Bhi Hai Jeevan Ke Is Amrit Ko Peene Ki Pyas
Abhi Tak Hai Baki Ek Aur Madhumass Beetane Ki Aas