Raah-E-Zindagi Mein Lamhaat-Egam Bayaa Kiya Nahi Karte…
Khwabon Ke Gulistaa Ke Har Phool Khushboodaar Hua Nahi Karte…
Yahaa Milege Kuch Jaa Nashee To Kuch Jaa Ke Dushman Apne…
Ye Woh Mehfil He Jahaa Har Koi Libaas-E-Wafaa Pehna Nahi Karte…
Nazar Aayege Kuch Hansee Ke To Chand Maayoosi Ke Baadal Tujhe…
Magar Har Baadal Barasne Ke Lie Aasmaa Me Jiya Nahi Karte…
Ba-Khabar Rehna Zindagi Ke Mod Pe Mushkilon Ke Toofaa Se Tu…
Kyun Ke Sehra Ke Har Jhonke Khush’haali Leke Aaya Nahi Karte…
Tu Jee Le Zindagi Ko Chaand Ya Gul-E-Gulaab Ki Saadgi Ki Tarah…
Fakhra Se To Darakht Bhi Hawaaon Se Guftagoo Kiya Nahi Karte…
Tujhko Milaa He Aaj Tak Wahii Jo Qaabil-E-Bardaasht Ho Tere…
Qusoor Isme Koi Kaatib-E-Taqdeer Ko Diya Nahi Karte…
Tu Banke Phire Gamzadaa Zuber Guzaare Pal-Pal Ishrat Me Zindagi…
Khushiyon Ke Ye Tohfe Har Kisi Ko Muqaddar Se Milaa Nahi Karte…

By Sama Zuber