Pyaar Zindgi Mein Hasil Ho Yeh Zaroori Toh Nahi
Kuch Khona Hee Parata Hai Is Main Kaheen An Kaheen
Pyaar Toh Dene Ka Naam Hai, Ibadat Ka Naam Hai
Pyar Khud Ko Luta Dene Kee Adat Ka Nam Hai
Kisee Radha Kee Sahar Hai Kisee Meera Kee Sham Hai
Pyar Khud Ko Luta Dene Kee Adat Ka Nam Hai
Dost Ko Pyaar Sabhi Banate Hain
Aaj Hum Pyaar Ko Dost Banakar Dekhain
Har Din Teree Bahen Taraptee Hai Hamare Liye
Aaj Tere Agosh Main Khud Aa Kar Dekhen
Tasarvur Mein Ek Tasveer Hai Teree
Aaj Woh Tasweer Samne Lakar Dekhen
Ek Chirag Andhre Se Ghar Main Jalakar Dekhen
Aaj Ham Bhee Ek Baar Ujalaon Main Aa Kar Dekhen
Samudar Mein Laharain Toh Bahut Uth Rahin
Dil Ko Samudar Main Dooba Kar Dekhen
In Laharon He Hazar Gharnode Bahaye Hain
Aaj In Lahron Main Ghar Bana Kar Dekhen
Tumhree God Main Sar Rakh Ke So Jayen
Aaj Kee Shab Tumahre Ho Jayen
Sahar Tak Tum Ruko Aisee Mazbooree To Nahee
Pyaar Zindgi Mein Hasil Ho Yeh Zaroori Toh Nahi