Nikle The Ghar Se Bachane Aashiyaan Apna,
Magar Hum Khud Hi Dubo Baithe Jahaan Apna,
Bahaut Mashur Hai Us Shehar Mein Afsane Mere,
Kabhi Koi Raheta Tha Mera Wahan Apna,
Ye Badli Badli Surat Aur Ye Badli Fitrat,
Tu Bhi Hamein Lagta Hai Ab Kahan Apna,
Khana-Badoshi Mein Umar Kat Gayi Sari,
Kahene Ko Hi Hota Ek Mera Makaan Apna,
Kis Ko Karoon Apne Dard Se Aashana “Kabir”,
Ajnabi Dayar Hai Nahi Koi Yahan Apna.
By Kabir Hussain