Nigaah Soch Ke Udan-Khatole Par Swaar
Dhoondhti Firti Hai Is Nazm Ka Umman(Shirshak)
Kalam Sayahi Se Labho Labh Bhari
Kaagaz Ka Dil Hilaane Ko Bechain
Kuchh Naksh Ubharte Hain Par Banti Hai Tasveer Dhuan Dhuan
Us Chitarkaar Ki Tarah Jo Banata Hai Tasveer Kuchh Shokh Rango Se
Par Uski Satrangi Tasveer Na Ban Paaye Uski Jubaan
Waise Hi Shabdon Ki Dhundli Kaaya Se,
Kalam Bana Leti Hai Khayalon Se Ik Tasveer-Sheeshe Jaisi
Sheeshe Mein Apna Aks Dekhkar Sochne Lagta Hai Ye Dil
Itna Karoop Chehra Badhaal Zakhmi Hua Ebo Ke Saath
Isko Apni Nazm Ka Umaan Kaise Banaoon
Yahan Fir Kalam Likhna Chod Naya Visha Dhoondhti Hai
Dhoondhte Dhoondhte Thak Kar,Ruk Kar,Toot Jaati Hai
Par Man Bhaata Visha Na Dhoondh Paati Hai