Naye Dareechey Nai Chaat Naya Hai Dar Phir Bhi
Naye Makan Mai Kahan Hai Sukoon E Ghar Phir Bhi
Hui Hai Subh Masa , Raat Se Sahar Nikli
Badal Saka Na Tera Nuktai Nazar Phir Bhi
Kisi Ne Saath Nibhaney Ki Phir Qasam Khayi
Kisi Ka Youn To Hua Kon Umr Bhar Phir Bhi
Mai Sub Luta Ke Bhi Ay Doost Mutmain Houn Bahut
Kisi Ke Aage Jhuka Hai Na Maira Sar Phir Bhi
Mizaaj E Raah Samajhna Bahut Zaroori Hai
Ke Mil To Jainge Milne Ko Hamsafar Phir Bhi
Mujhe Pasand Khushbooein Taza Phooloun Ki
Bure Nahi Hain Ye Perfume Kuchh Magar Phir Bhi
Muhabbataun Ke Bhikari Ne Kaasa Toorh Diya
Ke Usko Kuch Na Mila Ho Ke Darbadar Phir Bhi
Zamaam E Waqt Mere Haath Mai Rahi Bhi To Kia
Ke Aandhiyon Ke Muqaabil Hai Mera Ghar Phir Bhi
Kabhi To Shab Mai Mera Maahtaab Chamke Ga
Isi Umeed Mai Jeetee Hoon Umr Bhar Phir Bhi