Naadan Hai Jo Ishq Mein Jindagani Dhoondhte Hai
Jhoothe Rishton Ke Sehra Mein Paani Dhoondhte Hai
Matlabi Dunia Mein Apna Saaya Bhi Apna Nahin Hota
Aur Kuch Log Mehbooba Ki Meharbaani Dhoondhte Hai
Naha Rahe Hai Log Husn Ki Baarish Mein Yahan Aur Ham..
Kadakti Bijliyon Mein Phoolon Ki Bejubani Dhundhte Hai
Baazar Mein Sajte Hai Kuch Jism Bikne Ke Khatir
Aur Kuch Log Dukanon Par Jawani Dhoondhte Hai
Gujar Gaye Wo Kaarwaan Jinmein Tehzib Mehfooj Thi
Bhatke Hue Kaafile Pairon Ki Nishani Dhoondhte Hai
Be-sahara Dil Ki Dhadkanein Yahan Kaun Sunega “Kureel”
Ajnabi Logon Mein Koi Surat Pehchani Dhoondhte Hai