Na Thee Mujhe Ummeed, Na Tha Koi Ehsaas
Bichhdenge Aise Na The Jaise Kabhi Bhi Paas
Na Pehle See Awaz, Na Wo Andaz-E-Bayan
Wo Pyar,Wo Apnapan, Tha Na Jane Kahan
Har Ek Lafz Uska Tod Gaya Ye Dil
Kehna Kuchh Mere Liye Tha Bada Mushkil

Kaise Ye Maan Loon Main, Usiki Hain Ye Baatein
Khaai Thi Jisne Qasmein, Kiye The Jisne Waade
Tham Gaya Tha Sab Kuchh Us Silsile Ke Saath
Mai Chal Diya Wahan Se, Gehra Chuki Thi Raat
Wo Raat Ka Andhera, Barfeeli Sard Hawayein
Sooni Padi Thi Sadkein, Sunsaan Thi Wo Raahein
Koi Na Tha Wahan Pe Jise Mai Ye Batata
Kaise Tuta Ik Pal Me Barson Ka Wo Nata
Dil Me Uth Rahe The, Chubhte Hue Sawal
Bahar Ki Fiza Jaise, Dil Ka Bhi Wahi Haal
Wafa Me Thi Koi Kami, Wo Kaun-Si Thi Bhool
Kanton Ki Chubhan Hi Mili, Maangne Pe Phool
Sheeshe Ka Ye Khilauna, Is Dil Se Usne Khela
Gairon Ka Haath Thama, Aur Chhod Gaee Akela
Mujhe Nahin Ye Janna Kya Wajah Hai Iski
Kal Tak Thi Sirf Jo Meri, Aaj Hai Wo Kiski?
Chahoon To Ruswa Kar Doon Tujhko Zamane Bhar Mein
Is Pyar Bhare Dil Se Majboor Hoon Magar Main
Aankhon Me Tu Rahegi, Dil Bhi Karega Yaad
Tumhi Se Maangi Khushiyan, Tumhi Se Hain Barbaad
Ik Iltija Hai Meri, Chaho To Maan Jana
Jaise Sataya Mujhko, Auron Ko Na Satana
Na Baat Karna Mujhse, Na Nazron Me Aana
Warna Rulayega Mujhe, Guzra Hua Zamana..